Sunday, February 12, 2012

When The Pen Speaks

A friend of mine who write and what he writes is always appreciable.
Here are some of his work below.
When his pen speaks no one can speak.

Guys i need you all to read it...

bachpan ka dular kuch aisa hota tha ..
papa ka gussa aur ma ka pyar hota tha ..
patang ki dor hoti thi hath mei apne ..
aur sab kuch kisi kahani ke kalakar sa hota tha ..

wo roj dod ke pasine mei naha jana ..
wo chote chote kancho ke liye dinbhar bahar bitana ..
kabhi janamdin ke tohfe ..
toh kabhi dant khake geela rumal hota tha ..

wo dosto ki chugli ek duje se lagana ..
sath rehna ek duje ke fir bhi jhagdo se kapdo ko meala banana ..
wo garmi ki chutiya ..
toh kabhi imtihan ka junoon sir pe sawar hota tha ..

wo roj roj skool na jane ke bahane banana..
toh kabhi bus chodne ke liye dheere dheere taiyar ho jana ..
wo ek tofee ke liye ma se shifarish lagana..
toh kabhi bin puri hui har khwasish new year ka paigam hota tha..

ab toh har cheez choti lagti hai..
sabse pyari ma ki roti lagti hai..
ab ma ko gale lagana ..
aur uski god mei sone ke liye har rat intezar hota hai ..
par bachpan tha hasin ab toh ankho mei ansu aur seene mei kuch katta hua ek dard barbar hota hai...
 


umaang
tu chalega log tujhe rokenge ..
tu dodega toh sab tujhe girayenge ..
jab tu jeetega toh sab tujhe rulayenge..
kabhi na rukna chahe tujhe pyar karne wala bhi chod jayenge..

faisla tu na kar payega toh tujhe bevkuf banaya jayega..
kisi se madad mangega toh wo tujhe gumrah kar jayega..
mat puchna manjil ka rasta mehnat kar manjil khud tere pas yu bulayega..
bharosa kar apne aap pe koi nahi sath dega bus khuda sath tu payega..

jab kabhi thake toh ruk ke manjil ko ghurna..
wo bhi daregi tujhse aur tere pratidvadhiyo ka bharosa dagmagayega..
fir chalna shan se tu akela nahi hoga bheed ko khudke peeche payega..
ghamand na karna kyunki manjil dur hogi har shaks bus tujhe behlayega..

yad rakh tu chalega tujhe roka jayega ..
tu dodega toh tujhe toka jayega ..
sahara tera bus tu hoga ..
jab tu akela bethe ke gam banayega..

par uthna ro ke aur har ansu ka badla chukana..
jeet ki manjil ko hai tujhe hi paana..
 



enigma

mai hu sach, jo khudse ghabra raha hu..
mai hu jhuth, jo khudko hi sach bata raha hu..

mai hu awargi, jo ek manjil ko talash raha hu..
mai hu samjhdar, jo har jhuthe sharefdar se nazarein chura raha hu..

mai hu ahatein, jo sukun ke liye idhar udhar bhatak raha hu..
mai hu sanata, jo shor mei sabke dil ko bha raha hu..

mai hu bachpan, jo apni bato ko ro dhoke manwa raha hu..
mai hu yowan, jo apne se jyada kisi aur ko khas bata raha hu..

mai hu sainik, jo apne desh ke liye khun baha raha hu..
mai hu atankwad, jo anjane se sach ke liye ladta ja raha hu..

mai hu raahi, jo bus chalta ja raha hu ..
mai hu manjil, jo akela sabke intezar mei gun guna raha hu..

mai hu chalawa, jo sabki rahein bhatka raha hu..
mai hu roshni, jo andhero mei bhi sabka rahe dikha raha hu..

mai hu gheraiya, jo bus andar hi andar sab chuppa raha hu..
mai hu  uchaiya, jo ghamand ke sath khudke ahem se sabko dur le ja raha hu..

mai hu khuda, jo sabko kuch sikha raha hu ..
mai hu sevak, jo khuda ki khudai ko bhi galat bata raha hu..

mai hu tum, jo khudko samjhna chah raha hu..
mai hu sab, jo sabkuch samne hote hue bhi sab ki talash mei jindgi gujar raha hu..




Share This Art!


11 comments:

  1. Replies
    1. Thnxs for comment...hope u like my click n these kindo post soon gonna come up more...:)

      Delete
  2. sexy yar............... <3

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thnxs for comment...hope u like my click n these kindo post soon gonna come up more...:)

      Delete
  3. lyk lyk lyk......mast hai launde.......:)

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thnxs for comment...hope u like my click n these kindo post soon gonna come up more...:)

      Delete
  4. cool!!! u r really talentd!! natural flare for writing!! :)

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thnxs for comment...hope u like my click n these kindo post soon gonna come up more...:)

      Delete
  5. sahil dude its really nyc !!! i lykd it as i m also a writer i cn undrstnd hw it feels wen u write and its appreciated

    ReplyDelete
    Replies
    1. Yes i know how it feel when my pics get appreciated,the feel comes to a write when the write ups get appreciated. :)

      Delete
  6. deval bhai bahut shandaar poem
    vineet

    ReplyDelete

About

Popular Posts

Contact Form

Name

Email *

Message *